Think Before Act

aaj jahaan ladke ladkee is baat se pareshaan hain, ki kapde kaise pahne waheen bhaarat kee janta is baat se pareshaan hain, ki jiye kaise.. jahaan kapde kam se kam hote jaa rahe hain aur swatantrata ka matlab nagnata ban kar rah gaya hai, wahin sarkaar apnee sankirn vichaaron se shahar ka vikaas kartee hai, bina ye soche, ki bhavishya me is ka kya parinaam hoga..
Pahle jahaan kuen, chote chote taalaab hua karte the aur saath hee zameen (mittee) khulee hotee thee jisse paanee bharpoor matra me zameen ke andar ja kar jama hota tha … par aaj jagah jagah ghar, mall, shopping address, building, complex etc banaa diye gaye hain  aur in sab se jee nahee bhara to sadken cement kee phir jee nahee bhara to interlock tile bhee laga dee… ab paanee jaaye to jaaye kaise…. bearish me paanee jagah jagah jama to hoga hee, saath hee nadiyon me bhee paanee adhik maatra me jaayega, jisse vo ufaan par honge aur pool doobenge hee…
sarkaar ko is baat par suvichaar karna chaahiye, ki paanee jaisee anmol vastoo kee jagah zameen ke neeche hai hamaare bhavishya ke liye aur ladkiyon ko ye suvichaar karna chaahiye ki kapdon ka sahi chayan aur uchit maatra me istemaal karen…  ladkon kee baraabaree karna hai to unke baraabar kapde bhe  pahne jaise ki ve saarvajanik isthaano par pahante hain, kaam me, naam me, garv me, saahas me in sab me vo ladkon se aage jaayen aur meree vinatee hai, ki is baat ke liye na to race kare aur na hi jeetne ka prayaas ki kapde kam kaun pahan sakta hai… bhagwaan ne dono ko alag shareer, soch, sahan shakti aur vishesh shakti dee hai..
think before act…

Comments